Find a collection of Diwali Mantras and Aarti in English. Recite these holy prayers to seek blessings and celebrate Diwali with devotion.
Diwali is the festival of lights. People pray to Goddess Lakshmi for wealth and happiness. Special mantras and aartis are chanted on this day. Lord Ganesha’s mantra brings wisdom. Goddess Lakshmi’s mantra gives prosperity. Goddess Saraswati’s mantra blesses us with knowledge. Aarti is a song of praise to God. People sing Lakshmi Mata Aarti, Saraswati Mata Aarti, and Vishnu Aarti during Diwali. They light diyas, offer sweets, and pray with devotion. Chanting these mantras and aartis with a pure heart brings peace, success, and happiness to life.
Vakratund Mahakaya Suryakoti Samaprabha. Nirvighnam Kuru Me Dev Sarvakaryeshu Sarvada.
Mantra Ka Arth (Meaning)
He tedhi soondh aur vishalkay shareer wale, karodon soorya ki tarah tejashvi Bhagwan Shri Ganesh, aap mujh par apni kripa drishti banaye rakhein, taaki mere kisi bhi kaam mein koi badha na aaye aur safalta poorvak mere saare karya sampann ho sake. Aapki kripa drishti mujh par sada bani rahe.
Mantra Ka Labh (Benefits)
Hindu dharm mein kisi bhi karya ki shuruaat karne se pehle Ganesh ji ke is mantra ka jaap kiya jata hai. Is mantra ke jaap se karya mein safalta milti hai. Yeh mantra Bhagwan Ganesh ke upasakon ke liye vishesh phalpradayak hota hai.
Om Shreem Hreem Shreem Kamale Kamalalaye Praseed Praseed Shreem Hreem Shreem Om Mahalakshmi Namah.
Mantra Ka Arth (Meaning)
Yeh Mahalakshmi ka mool mantra hai. "Shree" ka arth hi hai Lakshmi. Kamal ke phool mein nivas karne wali, usi kamal ko apna nivas mannewali Maa Lakshmi, aap mujh par prasann ho. Shree-swaroop Mahalakshmi, aapko mera pranam hai.
Mantra Ka Labh (Benefits)
Mata Lakshmi ke is mantra ke jaap se karz ya dhan sambandhi pareshaniyan door hoti hain.
Om Shreem Hreem Saraswatyai Namah.
Mantra Ka Arth (Meaning)
Maa Saraswati ko mera pranam hai.
Mantra Ka Labh (Benefits) Is mantra ka jaap karne se buddhi aur vaani ki shakti badhti hai.
Jai Ganesh Jai Ganesh, Jai Ganesh Deva. Mata Jaaki Parvati, Pita Mahadeva.
Ek Dant Dayavant, Chaar Bhuja Dhaari. Mathe Sindoor Sohe, Mooshe Ki Savaari.
Jai Ganesh Jai Ganesh, Jai Ganesh Deva. Mata Jaaki Parvati, Pita Mahadeva.
Paan Chadhe Phool Chadhe Aur Chadhe Meva. Ladduan Ka Bhog Lage, Sant Karen Seva.
Jai Ganesh Jai Ganesh, Jai Ganesh Deva. Mata Jaaki Parvati, Pita Mahadeva.
Andhan Ko Aankh Det, Kodhin Ko Kaaya. Baanjhan Ko Putra Det, Nirdhan Ko Maaya.
Jai Ganesh Jai Ganesh, Jai Ganesh Deva. Mata Jaaki Parvati, Pita Mahadeva.
Soor Shyam Sharan Aaye, Safal Keeje Seva. Mata Jaaki Parvati, Pita Mahadeva.
Jai Ganesh Jai Ganesh, Jai Ganesh Deva. Mata Jaaki Parvati, Pita Mahadeva.
Deenan Ki Laaj Rakho, Shambhu Sutkaari. Kaamana Ko Poorn Karo, Jaaun Balihaari.
Jai Ganesh Jai Ganesh, Jai Ganesh Deva. Mata Jaaki Parvati, Pita Mahadeva.
Om Jai Lakshmi Mata, Maiya Jai Lakshmi Mata. Tumko Nishdin Sevat, Har Vishnu Vidhata॥
Uma, Rama, Brahmani, Tum Hi Jag Mata. Surya Chandrama Dhyavat, Narad Rishi Gata॥
॥Om Jai Lakshmi Mata…॥
Durga Roop Niranjani, Sukh-Sampati Data. Jo Koi Tumko Dhyata, Riddhi-Siddhi Dhan Pata॥
॥Om Jai Lakshmi Mata…॥
Tum Hi Pataal Nivasini, Tum Hi Shubhdata. Karma-Prabhav-Prakashini, Bhav Nidhi Ki Trata॥
॥Om Jai Lakshmi Mata…॥
Jis Ghar Tum Rahti Ho, Taanhi Mein Hain Sadgun Aata. Sab Sambhav Ho Jaata, Man Nahi Ghabrata॥
॥Om Jai Lakshmi Mata…॥
Tum Bin Yagya Na Hota, Vastr Na Koi Pata. Khaan Paan Ka Vaibhav, Sab Tumse Aata॥
॥Om Jai Lakshmi Mata…॥
Shubh Gun Mandir Sundar, Ksheerodadhi Jaata. Ratna Chaturdash Tum Bin, Koi Nahi Pata॥
॥Om Jai Lakshmi Mata…॥
Mahalakshmi Ji Ki Aarti, Jo Koi Nar Gaata. Ur Anand Samata, Paap Utar Jaata॥
॥Om Jai Lakshmi Mata…॥
**Om Jai Lakshmi Mata, Maiya Jai Lakshmi Mata. Tumko Nishdin Sevat, Har Vishnu Vidhata॥ **
Jai Saraswati Mata, Maiya Jai Saraswati Mata। Sadgun Vaibhav Shalini, Tribhuwan Vikhyata॥
॥Jai Jai Saraswati Mata…॥
Chandrabdani Padmasini, Dyuti Mangalkaari। Sohe Shubh Hans Sawari, Atul Tejdhari॥
॥Jai Jai Saraswati Mata…॥
Baaye Kar Mein Veena, Daaye Kar Maala। Sheesh Mukut Mani Sohe, Gal Motiyan Maala॥
॥Jai Jai Saraswati Mata…॥
Devi Sharan Jo Aaye, Unka Uddhar Kiya। Paithi Manthra Daasi, Ravan Sanhar Kiya॥
॥Jai Jai Saraswati Mata…॥
Vidya Gyaan Pradayini, Gyaan Prakash Bharo। Moh Agyan Aur Timir Ka, Jag Se Naash Karo॥
॥Jai Jai Saraswati Mata…॥
Dhoop Deep Phal Meva, Maa Sweekar Karo। Gyaan Chakshu De Mata, Jag Nistaar Karo॥
॥Jai Saraswati Mata…॥
Maa Saraswati Ki Aarti, Jo Koi Jan Gaave। Hitkari Sukhkari, Gyaan Bhakti Paave॥
Jai Jai Saraswati Mata…
Jai Saraswati Mata, Jai Jai Saraswati Mata। Sadgun Vaibhav Shalini, Tribhuwan Vikhyata॥
Om Jai Jagdish Hare, Swami Jai Jagdish Hare। Bhakt Janon Ke Sankat, Daas Janon Ke Sankat, Kshan Mein Door Kare॥
॥Om Jai Jagdish Hare॥
Maat Pita Tum Mere, Sharan Gahun Main Kiski। Swami Sharan Gahun Main Kiski। Tum Bin Aur Na Dooja, Aas Karun Main Jiski॥
॥Om Jai Jagdish Hare॥
Tum Puran Parmaatma, Tum Antaryaami। Swami Tum Antaryaami। Parbrahm Parmeshwar, Tum Sab Ke Swami॥
**॥Om Jai Jagdish Hare॥ ** Tum Karuna Ke Saagar, Tum Palankarta। Swami Tum Palankarta। Main Moorakh Khal Kaami, Kripa Karo Bharta॥
॥Om Jai Jagdish Hare॥
Tum Ho Ek Agochar, Sabke Praanpati। Swami Sabke Praanpati। Kis Vidhi Milun Dayamay, Tumko Main Kumati॥
॥Om Jai Jagdish Hare॥
Deenbandhu Dukhharta, Thakur Tum Mere। Swami Thakur Tum Mere। Apne Haath Uthao, Dwaar Pada Main Tere॥
॥Om Jai Jagdish Hare॥
Vishay Vikaar Mitao, Paap Haro Deva। Swami Paap Haro Deva। Shraddha Bhakti Badhayo, Santan Ki Seva॥
॥Om Jai Jagdish Hare॥
Shri Jagdish Ji Ki Aarti,Jo Koi Nar Gaave। Swami Jo Koi Nar Gaave। Kahat Shivanand Swami,Sukh Sampatti Paave॥
**Om Jai Jagdish Hare **
Did you like this article?
Read and chant Dhanteras Aarti in English. A spiritual hymn sung to worship Lord Dhanvantari on Dhanteras for blessings of health, wealth, and prosperity.
Read and chant Ram Aarti in English. A devotional prayer to seek Lord Ram’s blessings for peace, righteousness, and divine grace.
Read and chant Ram Siya Ram Aarti in English. A soulful prayer to invoke the blessings of Lord Ram and Goddess Sita for peace, devotion, and divine guidance.